Pirzada Qasim

zaKHm dabe to phir naya tir chala diya karo

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
zaḳhm dabe to phir nayā tiir chalā diyā karo
dosto apnā lutf-e-ḳhās yaad dilā diyā karo
ek ilāj-e-dā.imī hai to barā-e-tishnagī
pahle hī ghūñT meñ agar zahr milā diyā karo
shahr talab kare agar tum se ilāj-e-tīragī
sāhab-e-iḳhtiyār ho aag lagā diyā karo
maqtal-e-ġham kī raunaqeñ ḳhatm na hone pā.eñgī
koī to aa hī jā.egā roz sadā diyā karo
jazba-e-ḳhāk-parvarī aur sukūn pā.egā
ḳhaak karo hameñ to phir ḳhaak uḌā diyā karo
Top Urdushayar.com