maiñ kab se apnī talāsh meñ huuñ milā nahīñ huuñ
savāl ye hai ki maiñ kahīñ huuñ bhī yā nahīñ huuñ
ye mere hone se aur na hone se munkashif hai
ki razm-e-hastī meñ kyā huuñ maiñ aur kyā nahīñ huuñ
maiñ shab nizhādoñ meñ sub.h-e-fardā kī aarzū huuñ
maiñ apne imkāñ meñ raushnī huuñ sabā nahīñ huuñ
gulāb kī tarah ishq merā mahak rahā hai
magar abhī us kī kisht-e-dil meñ khilā nahīñ huuñ
na jaane kitne ḳhudāoñ ke darmiyāñ huuñ lekin
abhī maiñ apne hī haal meñ huuñ ḳhudā nahīñ huuñ
kabhī to iqbāl-mand hogī mirī mohabbat
nahīñ hai imkāñ koī magar māntā nahīñ huuñ
havāoñ kī dastaras meñ kab huuñ jo bujh rahūñgā
maiñ isti.āra huuñ raushnī kā diyā nahīñ huuñ
maiñ apnī hī aarzū kī chashm-e-malāl meñ huuñ
khulā hai dar ḳhvāb kā magar dekhtā nahīñ huuñ
udhar tasalsul se shab kī yalġhār hai idhar maiñ
bujhā nahīñ huuñ bujhā nahīñ huuñ bujhā nahīñ huuñ
bahut zarūrī hai ahd-e-nau ko javāb denā
so tīkhe lahje meñ boltā huuñ ḳhafā nahīñ huuñ