Pirzada Qasim

KHud hi ruThe ho to phir is ka mudawa kyon ho

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
ḳhud hī rūThe ho to phir is kā mudāvā kyoñ ho
ham na kahte the ki haañ ranjish-e-bejā kyoñ ho
har bashar apnī pareshāñ-nazarī ke bā-vasf
ḳhud tamāshā hai to phir mahv-e-tamāshā kyoñ ho
dil ke bahlāne ko ummīd-e-karam rakhte haiñ
varna ye ham bhī samajhte haiñ ki aisā kyoñ ho
dasht jo merī tamannā na kare dasht nahīñ
ḳhaak jis meñ na uḌe merī vo sahrā kyoñ ho
ek lahza bhī jo pā.ūñ ġham-e-hastī se farāġh
ik nayā rañj pukāre hai ki tanhā kyoñ ho
Top Urdushayar.com