zindagī ko ek ḳhvāb-e-rā.egāñ samjhā thā maiñ
be-karāñ ta.abīr hogī ye kahāñ samjhā thā maiñ
rāh-rau guzre chale jaate the rāh-e-zīst par
ik hujūm-e-jism-o-jāñ ko kārvāñ samjhā thā maiñ
itnī nazdīkī ki jaise chhū rahā huuñ ḳhud ko maiñ
harz-e-jāñ hai vo jise vahm-o-gumāñ samjhā thā maiñ
thā bahut saffāk tansīḳh-e-ta.alluq kā fareb
us kā aalam hai jise apnā jahāñ samjhā thā maiñ
be-talab āsūda kab hotī hai kisht-e-ārzū
be-gumāñ dil ho rahegā gulistāñ samjhā thā maiñ
ik tavaqqo.a thī ki ye lahja bhī samjhegā koī
chashm-e-ḳhūñ-afshāñ ko andāz-e-bayāñ samjhā thā maiñ
rabt-e-bāham thā faqat lafz-o-bayāñ kā irtibāt
hai koī rasm-e-vafā bhī darmiyāñ samjhā thā maiñ
is qadar mānūs thā fitrat ke lahje kā jamāl
so use apnā suḳhan apnī zabāñ samjhā thā maiñ
ye to haiñ ā.indagāñ kī raushnī ke dā.ere
in ko ab tak apne qadmoñ ke nishāñ samjhā thā maiñ