Pirzada Qasim

kuduraton ke darmiyan adawaton ke darmiyan

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
kudūratoñ ke darmiyāñ adāvatoñ ke darmiyāñ
tamām dost ajnabī haiñ dostoñ ke darmiyāñ
shu.ūr-e-asr DhūñDhtā rahā hai mujh ko aur maiñ
magan huuñ ahd-e-raftagāñ kī azmatoñ ke darmiyāñ
ye sochte haiñ kab talak zamīr ko bachā.eñge
agar yūñhī jiyā kiye zarūratoñ ke darmiyāñ
abhī shikast kyā ki razm-e-āḳhirī ik aur hai
pukārtī hai zindagī hazīmatoñ ke darmiyāñ
zamīr-e-asr meñ kabhī nava-e-dard meñ kabhī
suḳhan-sarā to maiñ bhī huuñ sadāqatoñ ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com