ham se na pūchh jā.egī hijr kī rahguzar kahāñ
shaam huī to thī kahīñ sub.h huī magar kahāñ
dāna-o-dām se pare merī uḌaan yaad kar
mujh ko talāsh kar na dekh rakhe haiñ bāl-o-par kahāñ
ishq-e-hisār-e-zāt se duur bahut nikal gayā
aise meñ jabr-e-vaqt bhī hotā hai kārgar kahāñ
valvala-hā-e-shauq sab sarf-e-muhājrat hue
ab sar-e-manzil vafā DhūñD rahe ho ghar kahāñ
chhoḌ ke kārvān-e-shauq manzil-e-ġham pe kar qayām
misl-e-ġhubār-e-kārvāñ phirtā hai dar-ba-dar kahāñ