Pirzada Qasim

laDkhaDate hue bhi aur sambhalte hue bhi

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
laḌkhaḌāte hue bhī aur sambhalte hue bhī
us ke dar par hī ga.e ḳhvāb meñ chalte hue bhī
ishq āsār thī har rāhguzar us kī thī
ham bhaTak sakte na the raah badalte hue bhī
ishq hai ishq ba-har-hāl numū pā.egā
ya.anī jalte hue bhī aur pighalte hue bhī
zindagī tere faqat ek tabassum ke liye
ham ki hañste hī rahe dard meñ Dhalte hue bhī
ek muddat se haiñ ham ishq meñ āvāra ba-kār
ya.anī ik umr huī phūlte-phalte hue bhī
silsila tujh se hī thā tere talab-gāroñ kā
barf hote hue bhī aag meñ jalte hue bhī
bin tire aisā añdherā thā mire andar yaar
Dar lagā ishq ke sūraj ko nikalte hue bhī
Top Urdushayar.com