ye bhī kyā kam hai ki ham betāb hālat meñ rahe
ban na paa.e kuchh bhī lekin dast-e-qudrat meñ rahe
ham ko āñkhoñ meñ basāyā vaqt ne mānind-e-ḳhvāb
aur ham ta.abīr ho jaane kī hasrat meñ rahe
ham ne sahrā ho ki gulshan ek jaisā kar diyā
jis Thikāne bhī rahe zanjīr-e-vahshat meñ rahe
ab sila husn-e-amal kā kyā milā kyā jāniye
raushnī the ham so sho.ale kī rifāqat meñ rahe
ḳhalvat-e-jāñ meñ baḌī fursat se aa baiThā hai ġham
arsa-e-fursat milā to ham bhī fursat meñ rahe