Pirzada Qasim

din guzarte hain jo andesha-o-afkar ke sath

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
din guzarte haiñ jo andesha-o-afkār ke saath
dil dhaḌaktā hai magar rañj-e-girāñ-bār ke saath
saiñkaḌoñ barsoñ pe phailī haiñ hikāyāt magar
vāqiye ek se vābasta haiñ talvār ke saath
yuuñ to sañgīnī-o-bālā-qadī achchhī hai magar
ek saa.e kā tasavvur bhī hai dīvār ke saath
ab khalā apnī hī jānib ye safar hai ki yahāñ
fāsle aur baḌhe garmī-e-raftār ke saath
kisī tanhā se ajab garmī-e-bāzār rahī
ek amboh-e-tamannā thā ḳharīdār ke saath
Top Urdushayar.com