Pirzada Qasim

miyan-e-kar-e-fan lafzon ki qismat jag uThti hai

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
miyān-e-kār-e-fan lafzoñ kī qismat jaag uThtī hai
ġhazal taḳhlīq kartā huuñ mohabbat jaag uThtī hai
bahut masrūr rahtā huuñ bahut chehra sajātā huuñ
magar ā.īne meñ ik aur sūrat jaag uThtī hai
maiñ kitnī baar duniyā taj ke jā baiThā huuñ goshe meñ
magar har baar duniyā kī zarūrat jaag uThtī hai
ajab dekhā karishma lafz kī bāzīgarī kā bhī
suḳhan ma.adūm ho jaatā hai shohrat jaag uThtī hai
mohabbat is tarah to munqalib hote na dekhī thī
zarā be-e'tibārī ho to nafrat jaag uThtī hai
Top Urdushayar.com