Pirzada Qasim

nazar mein nit-nai hairaniyan liye phiriye

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
nazar meñ nit-na.ī hairāniyāñ liye phiriye
saroñ pe roz nayā āsmāñ liye phiriye
ab is fazā kī kasāfat meñ kyuuñ izāfa ho
ġhubār-e-dil hai so dil meñ nihāñ liye phiriye
yahī bachā hai so ab ziist kī gavāhī meñ
yahī nishān-e-dil-e-be-nishāñ liye phiriye
qarār-e-jāñ to sar-e-kū-e-yār chhoḌ aa.e
matā-e-zīst hai lekin kahāñ liye phiriye
ajab hunar hai ki dānishvarī ke paikar meñ
kisī kā zehn kisī kī zabāñ liye phiriye
Top Urdushayar.com