kabhī havā to kabhī ḳhāk-e-rahguzar honā
mire nasīb meñ likhā hai dar-ba-dar honā
agar chalo to mire saath hī chalo lekin
kaThin safar se ziyāda hai ham-safar honā
udaas udaas ye dīvār-o-dar batāte haiñ
ki jaise raas na ho un ko merā ghar honā
qadam uThe bhī nahīñ aur safar tamām huā
ġhazab hai raah kā itnā bhī muḳhtasar honā
ye daur-e-kam-nazarāñ hai to phir hunar kā ziyāñ
jo ek baar na honā to beshtar honā