jis taraf nazar kiije vahshatoñ kā sāmāñ hai
zindagī hī kyā ab to ḳhvāb tak pareshāñ hai
ik havā-e-betābi ham ko le uḌī varna
bāl-o-par ke parde meñ himmat-e-gurezāñ hai
ai havā-e-ġham tū ne sab diye bujhā Daale
phir bhī ḳhalvat-e-jāñ meñ duur tak charāġhāñ hai
dār-o-gīr-e-vahshat meñ ab panāh kyā DhūñDeñ
ye zamīn dāman hai āsmāñ garebāñ hai
maiñ huuñ jab talak baaqī ye mukālima hogā
ai haqīqat-e-hastī merā naam insāñ hai