ruuh gar nauha-kunāñ ho to ġhazal hotī hai
dil ko ehsās-e-ziyāñ ho to ġhazal hotī hai
mahfil-e-māh-vashāñ meñ to ġhazal ho na sakī
bazm-e-āshufta-sarāñ ho to ġhazal hotī hai
sirf āñkhoñ meñ namī se na banegī koī baat
ek dariyā sā ravāñ ho to ġhazal hotī hai
maiñ ne mahsūs kiyā hai ki kisī kī vo nazar
merī jānib nigarāñ ho to ġhazal hotī hai
dhīme dhīme se sulagte hue jazbāt ke saath
'mīr' kā tarz-e-bayāñ ho to ġhazal hotī hai