be-dilī se hañsne ko ḳhush-dilī na samjhā jaa.e
ġham se jalte chehroñ ko raushnī na samjhā jaa.e
gaah gaah vahshat meñ ghar kī samt jaatā huuñ
is ko dasht-e-hairat se vāpsī na samjhā jaa.e
laakh ḳhush-gumāñ duniyā bāhamī ta.alluq ko
dostī kaheñ lekin dostī na samjhā jaa.e
ham to bas ye kahte haiñ roz jiine marne ko
aap chāheñ kuchh samjheñ zindagī na samjhā jaa.e
ḳhaak karne vāloñ kī kyā ajiib ḳhvāhish thī
ḳhaak hone vāloñ ko ḳhaak bhī na samjhā jaa.e