ḳhuun se jab jalā diyā ek diyā bujhā huā
phir mujhe de diyā gayā ek diyā bujhā huā
apne to ahad-e-shauq ke marhale sab aziiz the
ham ko visāl sā lagā ek diyā bujhā huā
ek hī dāstān-e-shab ek hī silsila to hai
ek diyā jalā huā ek diyā bujhā huā
sho.ala havā-nazhād thā phir bhī havā ke haath ne
bas yahī faisla likhā ek diyā bujhā huā
mahfil-e-rañg-o-nūr kī phir mujhe yaad aa ga.ī
phir mujhe yaad aa gayā ek diyā bujhā huā
mujh ko nashāt se fuzūñ rasm-e-vafā aziiz hai
merā rafīq-e-shab rahā ek diyā bujhā huā
dard kī kā.enāt meñ mujh se bhī raushnī rahī
vaise merī bisāt kyā ek diyā bujhā huā
sab mirī raushni-e-jāñ harf-e-suḳhan meñ Dhal ga.ī
aur maiñ jaise rah gayā ek diyā bujhā huā