kyuuñ fanā se Dareñ baqā kyā hai
bujh gayā dil hī jab rahā kyā hai
bhar gayā kyuuñ tasanno.āt se jī
parda āñkhoñ se uTh gayā kyā hai
surma-e-dīda-hā-e-ahl-e-nazar
ban ga.ī hai jo ḳhāk-e-pā kyā hai
kaise duniyā vajūd meñ aa.ī
āfrīnash kā mudda.ā kyā hai
jis meñ arboñ jahāñ samā.e haiñ
vo fazā kyā hai vo ḳhalā kyā hai
chāñd kī samt haiñ davāñ maujeñ
kyā kashish hai ye mājrā kyā hai
phail jaatī hai kis tarah āvāz
aañkh kā sehr hai ziyā kyā hai
jism-e-be-rūh ko ḳhabar hī nahīñ
duḳhma kyā gor kyā chitā kyā hai
kyā jamādāt se bhī kam hai bashar
zar kī puujā se mudda.ā kyā hai
aks hai aks har shabīh yahāñ
guuñj hī guuñj hai sadā kyā hai