Saqib Lakhnavi

bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
balā hī ishq lekin har bashar qābil nahīñ hotā
bahut pahlū haiñ aise bhī ki jin meñ dil nahīñ hotā
nishān-e-be-nishānī miT nahīñ saktā qayāmat tak
ye naqsh-e-haq jafā-e-dahr se bātil nahīñ hotā
jahāñ meñ nā-umīdī ke sivā ummīd kyā ma.anī
sabhī kahte haiñ lekin dil mirā qaa.il nahīñ hotā
taḌapnā kis kā dekhoge jo zinda hoñ to sab kuchh ho
balā-e-ishq kā maarā kabhī bismil nahīñ hotā
sadā.eñ de rahā huuñ muddatoñ se ahl-e-marqad ko
sabhī sote haiñ lekin yuuñ koī ġhāfil nahīñ hotā
sarishk-e-ġham kī had shām-o-sahar meñ mil nahīñ saktī
umañDte haiñ jo ye dariyā to phir sāhil nahīñ hotā
duā de ishq ko ai zulm tū bhī zeb-e-pahlū hai
vagarna kaisā hī paikāñ ho lekin dil nahīñ hotā
farāmoshī hai lekin yaad rakhtā hai tire dar ko
dar-e-aġhyār par 'sāqib' kabhī saa.il nahīñ hotā
Top Urdushayar.com