Syed Hamid

aah-o-fariyaad ka asar dekha

Syed Hamid

Faizabad, Uttar pradesh, India

1920-2014
āh-o-fariyād kā asar dekhā
ḳhud ko majbūr beshtar dekhā
ban gayā hai naqāb-e-tañg-dilī
shohra-e-vus.at-e-nazar dekhā
jism ne Daal dī sipar jab se
ruuh ko āzim-e-safar dekhā
hashr kā mo'taqid huā jis ne
manzar-e-matl.a-e-sahar dekhā
naav sāhil pe lag ga.ī aa kar
apne shāna pe un kā sar dekhā
tama.a pindār jaur hirs fareb
gāmzan kārvān-e-zar dekhā
shub.h-e-zauq-e-nazar na ho jis par
ek aisā bhī dīda-var dekhā
kar liyā un ke ijtināb pe sabr
jab se aġhmāz rāhbar dekhā
dil kā ā.īna rū-ba-rū laa.e
is liye un ko ḳhud-nigar dekhā
jis kī ek apnī kā.enāt na ho
'hāmid' aisā koī bashar dekhā
Top Urdushayar.com