pahle thā mohabbat kā gumāñ so vo yaqīñ hai
be-tābī-e-dil haa.e ye be-vaj.h nahīñ hai
ai vaa.e tire ruḳh pe usī vaqt nazar kī
jab dekh liyā terī nazar aur kahīñ hai
jab tak the tirī bazm meñ dekhā kiye tujh ko
aur ab jo nazar hai nazar-e-bāz-pasīñ hai
akasr nazar aatā hai tirī bazm meñ 'hāmid'
duniyā ye samajhtī hai ki vo gosha-nashīñ hai