Syed Hamid

fard ko asr ki raftar liye phirti hai

Syed Hamid

Faizabad, Uttar pradesh, India

1920-2014
fard ko asr kī raftār liye phirtī hai
jins ko garmī-e-bāzār liye phirtī hai
par-e-parvāz se inkār nahīñ hai lekin
kījiye ġhaur to minqār liye phirtī hai
us kī qismat meñ rasā.ī na sahī āshiq ko
hasrat-e-lazzat-e-iz.hār liye phirtī hai
tālib-e-ilm ko idrāk-e-fazīlat ke bajā.e
ḳhvāhish-e-turra-o-dastār liye phirtī hai
donoñ Tāñgoñ kā ishāra hai ki gardish ham ko
har taraf sūrat-e-parkār liye phirtī hai
ek lamhe ke liye bhī nahīñ miltā hai sukūñ
gardish-e-gumbad-e-davvār liye phirtī hai
hathkaḌī jaise lagāte haiñ asīroñ ko vo zulf
kar ke halqe meñ giraftār liye phirtī hai
tauf meñ fart-e-tarab se hai zamīñ charḳh-e-zanāñ
sāya-e-gesū-o-ruḳhsār liye phirtī hai
jism ke bojh ko āġhāz se anjām talak
garche hai ruuh girāñ-bār liye phirtī hai
is ko Thahrā.e hue qasr-e-baqā kī buniyād
zindagī saañs kā ik taar liye phirtī hai
Top Urdushayar.com