Syed Hamid

phul chehra aansuon se dho gae

Syed Hamid

Faizabad, Uttar pradesh, India

1920-2014
phuul chehra āñsuoñ se dho ga.e
aa.e the hañsne chaman meñ ro ga.e
dil ye ujḌā hai ki un kī yaad ko
muddateñ guzrīñ zamāne ho ga.e
kis liye mahfil meñ itnī barhamī
ham chale jaate haiñ uTh kar lo ga.e
jab chaleñge kāTne kal fasl ko
tab khulegā aaj kyā kyā bo ga.e
koī Thahrā hai kisī ke vāste
kah rahe the jā.eñge ham so ga.e
DhūñDte kyā gosha-e-maqsūd ko
raah kī rañgīniyoñ meñ kho ga.e
kis liye aa.e the yaañ taqdīr meñ
bojh Dhonā jism kā thā Dho ga.e
chhoḌnā mumkin na thā stage ko
rol apnā karte karte so ga.e
tiin sāthī jā rahe the saath saath
ek baaqī rah gayā hai do ga.e
kyā yahī hai dār-e-fānī kī kashish
phir na lauTe us taraf ko jo ga.e
kar rahā hai ik jahāñ jin kā tavāf
but-kade meñ kis ke darshan ko ga.e
aap āzurda hue 'hāmid' ḳhafā
lījiye donoñ barābar ho ga.e
Top Urdushayar.com