Syed Hamid

shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka

Syed Hamid

Faizabad, Uttar pradesh, India

1920-2014
shikva gar kiije to hotā hai gumāñ taqsīr kā
har jafā se baab khultā hai nayā ta.azīr kā
us se paiham guftugū kiije kabhī barham na ho
asl par bhārī hai pahlū aap kī tasvīr kā
dil ke dar pe haiñ ye donoñ rishta-e-ham-sā.egī
gesū-e-shab-gīr se hai fikr dāman-gīr kā
jaur se ghabrāne vaale ham nahīñ haiñ dekhiye
hausla kab tak javāñ rahtā hai charḳh-e-pīr kā
kis liye ḳhvāb-e-zuleḳhā tishna-e-ta.abīr hai
misr meñ shohra bahut yuuñ to huā ta.abīr kā
gholte haiñ kis liye vo chashma-e-haivāñ meñ zahr
kaam lete haiñ tabassum se vo kyuuñ tahqīr kā
kaash merī kah rahe haiñ sabza-o-dasht-o-daman
lāla-o-barg-o-saman aalam hai ye kashmīr kā
naaz se dekhā hai ḳhāliq ne miTāte bārhā
nāḳhun-e-tadbīr ko likkhā huā taqdīr kā
ḳhaak se kar ḳhāksārī se riyāzat se araq
aarzū kī aañch de nusḳha hai ye iksīr kā
hasratoñ se is tarah rah rah ke hotī hai ḳhalish
TuuT jaa.e lag ke dil meñ jaise paikāñ tiir kā
sher meñ 'iqbāl' kā shaidā hai 'ġhālib' kā asiir
'hāmid'-e-be-bahra-go munkir nahīñ hai miir kā
Top Urdushayar.com