baat vo baat nahīñ hai jo zabāñ tak pahuñche
aañkh vo aañkh hai jo sirr-e-nihāñ tak pahuñche
qadr tāzīm kashish shauq mohabbat iz.hār
rokiye dil ko na jaane ye kahāñ tak pahuñche
dil ye har-gām pe kahtā hai Thahar ghar hai yahī
farq se tā-ba-qadam aañkh jahāñ tak pahuñche
kis ko fursat hai sune dard-bharī hai rūdād
kaun bechārgī-e-ḳhasta-dilāñ tak pahuñche
jaan lenā ye usī lamha ki dil TuuT gayā
baat jab zabt se baḌh jaa.e fuġhāñ tak pahuñche
muḌ ke dekhā bhī nahīñ dil ke lahū kī jānib
sher kī daad ye dī husn-e-bayāñ tak pahuñche