Syed Hamid

masarrat mein bhi hai pinhan alam yun bhi hai aur yun bhi

Syed Hamid

Faizabad, Uttar pradesh, India

1920-2014
masarrat meñ bhī hai pinhāñ alam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
surūd-e-zindagī meñ zer-o-bam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ġhamoñ se hai garebāñ meñ itā.at kā gilā kyuuñ ho
do guuna baar hai sar par vo ḳham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tarīq-e-ḳhusravī bhī hai kināya hai ki mah ham haiñ
unheñ zebā hai ham kahnā ye ham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
kamar kī justujū se kyā dahan kī aarzū kyuuñ ho
mohabbat ke marāhil meñ adam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
lagī haiñ maut par āñkheñ magar hai diid kī hasrat
ye vaqt-e-naz.a hai āñkhoñ meñ dam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
qasam khaa.ī hai ulfat kī ḳhudā rakkhe use qaa.em
phañsī hai jaan mushkil meñ qasam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tirī dariyā-dilī saaqī hamārī tishna-kāmī se
ḳhajil kaise na ho miinā meñ kam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
hasīñ jaise koī mūrat ho dil rakhtā hai patthar kā
vo kāfir kyuuñ burā maane sanam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
masarrat meñ dil-e-hirmāñ-zada ko ḳhauf hai ġham kā
nahīñ mumkin mafar ġham se ki ġham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
kareñ mashq-e-taġhāful yā jafā.eñ aap farmā.eñ
yahāñ taslīm kī ḳhū se karam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
nadāmat hai jafāoñ par shikāyat par itaab un ko
jabīñ kā haal kyā kahiye ki nam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
muġhāñ se is ko ulfat hai ayaañ chehre se vahshat hai
koī ḳhādim se kyā pūchhe ajam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
Top Urdushayar.com