Syed Hamid

haq kisi ka ada nahin hota

Syed Hamid

Faizabad, Uttar pradesh, India

1920-2014
haq kisī kā adā nahīñ hotā
varna insāñ se kyā nahīñ hotā
dil kā jaanā to baat ba.ad kī hai
dil kā aanā burā nahīñ hotā
kyā huā dil ko muddateñ guzrīñ
zikr-e-mehr-o-vafā nahīñ hotā
husn ke haiñ hazār-hā pahlū
ek pahlū adā nahīñ hotā
ḳhud pe kyā kyā vo naaz karte haiñ
jab koī dekhtā nahīñ hotā
dil bujhā ho to ḳhanda-e-gul bhī
chubhtā hai jāñ-fizā nahīñ hotā
DhūñDh laatī hai ek shoḳh nigāh
lab pe jo mudda.ā nahīñ hotā
ḳhuuñ bahāte haiñ be-gunāhoñ kā
ye koī ḳhūñ-bahā nahīñ hotā
zindagī meñ haiñ talḳhiyāñ phir bhī
aadmī be-mazā nahīñ hotā
haq to 'hāmid' ye hai ki haq ke sivā
koī mushkil-kushā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com