aañkh jo ishva-e-pur-kār liye phirtī hai
muzhda-e-tāle-e-bedār liye phirtī hai
naam se daad bhī miltī hai suḳhan ko aksar
charḳh par shohrat-e-fankār liye phirtī hai
ḳhaak se phuul nikalte haiñ mahaktā hai chaman
kyā zamīñ tabla-e-attār liye phirtī hai
koī mahfil bhī nahīñ jo na ho tā.īd-talab
dar-ba-dar jur.at-e-inkār liye phirtī hai
ban ga.ī parda-nashīñ khīñch ke palkoñ ke hisār
ham ko lekin nigah-e-yār liye phirtī hai
pheñk kar ḳhaak meñ aqdār ko tahqīr ke saath
zindagī dirham-o-dīnār liye phirtī hai