jab bhī manzil tire dāman meñ simaT jaatī hai
zindagī ḳhud ko bhī gumnām nazar aatī hai
jaise sūraj kī shuāoñ meñ koī chāñd chhupe
kaun raushan hai ki mash.al mirī miT jaatī hai
ek sāhil huuñ to kyā merā koī dard nahīñ
sirf kashtī pe hī kyuuñ sab kī nazar jaatī hai
zehn kar baiThā thā kal shikva shikāyat dil se
merī duniyā meñ bhī kyuuñ terī sunī jaatī hai
ho na aamad tirī jis shab to vo shab shab hī nahīñ
niiñd us raat baġhāvat pe utar aatī hai