jitnā suljhā.ūñ maiñ utnī hī ulajh jaatī hai
zindagī kaise marāhil pe mujhe laatī hai
mujh ko jiine kī havas hai kabhī marne kā junūñ
zindagī merī shab-o-roz phisal jaatī hai
ḳhuub rishta hai kabhī paas kabhī duur hai vo
zindagī apnī hai par ġhair nazar aatī hai
rāste band haiñ manzil hai na rahbar koī
zindagī bhī to usī samt chalī jaatī hai
zindagī tujh se hai bas itnī shikāyat mujh ko
tū kisī ġhair meñ kyuuñ itnā sukūñ paatī hai
zindagī ḳhuub hai insāf tirī duniyā kā
dard detī hai magar lab pe hañsī laatī hai