Vinod Kumar Tripathi Bashar

sard mausam ki KHata thi na zamane ki thi

Vinod Kumar Tripathi Bashar

Allahabad, Uttar pradesh, India

1957
sard mausam kī ḳhatā thī na zamāne kī thī
sham.a ko jis ne bujhāyā vo havā merī thī
imtihāñ roz liyā kartā hai merā ab vo
āzmāne kī kabhī jis se guzārish kī thī
kar chukā thā maiñ samundar se kinārā kab kā
jis jagah Duubā thā maiñ kahte haiñ sāhil kī thī
hijr-o-qurbat ke bane itne fasāne kaise
chāñdnī chhat pe mirī itnī kahāñ bikhrī thī
kyuuñ tapish mujh meñ hai kyuuñ jism siyah hotā hai
rahguzar meñ to mire dhuup kahāñ utrī thī
ab koī ḳhvāb na āñkhoñ meñ tasavvur hai 'bashar'
varna āñkhoñ meñ mirī niiñd kahāñ rahtī thī
Top Urdushayar.com