gila to un ko bhī hai maiñ jinheñ milā hī nahīñ
na jaane kitne fasānoñ meñ huuñ patā hī nahīñ
koī to pūchhe zarā haal un añdheroñ se
ki jin ke pahlū meñ sūraj kabhī ugā hī nahīñ
use hai aaj bhī rañj-o-malāl ye mujh se
ki dil pe us kī kisī baat ko liyā hī nahīñ
lo khel khel meñ banñe ko ban ga.ī kashtī
magar mizāj samundar kā kuchh patā hī nahīñ
vo shor kis kā thā shab bhar ki niiñd TuuT ga.ī
mire sivā to koī aur ghar meñ thā hī nahīñ
huā yuuñ karte haiñ tūfāñ se log ḳhauf-zada
ki jaise us ke thapeḌoñ meñ kuchh mazā hī nahīñ
ye nūr-e-sub.h hai āġhāz sirf ik din kā
vo din jo shaam guzarte kabhī rahā hī nahīñ
abhī se kar na muqarrar tū merā vaqt-e-hisāb
ki zindagī tujhe maiñ ne abhī jiyā hī nahīñ
ḳhalish jahāñ kī numāyāñ haiñ merī ġhazloñ meñ
vo dard bhī hai mirā jo mujhe milā hī nahīñ