mar rahte haiñ dar par tire do-chār hamesha
hai jaur-o-jafā tujh ko sazā-vār hamesha
āshiq tirā marne ko hai tayyār hamesha
dikhlā na mizha ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhār hamesha
ik chheḌ nikāle hai na.ī yaar hamesha
rahtā hai mire dar-pa.e-āzār hamesha
allāh salāmat rakhe tere lab-e-shīrīñ
sunvāyā kare bāteñ mazedār hamesha
hai Dar se tire ālam-e-bālā tah-o-bālā
laTke hai tirī arsh pe talvār hamesha
juuñ halqa-e-dar dar pe tire sub.h se tā-sub.h
rahtā hai tirā tālib-e-dīdār hamesha
iz.hār karūñ jis se maiñ ahvāl ko apne
ahvāl-e-tabāh us kā rahe yaar hamesha