in dinoñ vo idhar nahīñ aatā
apnā jiinā nazar nahīñ aatā
us kī va.ada-ḳhilāfiyāñ dekho
aane kahtā hai be-par nahīñ aatā
ghar-ba-ghar tū paḌā phire hai to
aah kyuuñ mere ghar nahīñ aatā
qāsid us bevafā se yuuñ kahnā
likh tū kuchh bhej gar nahīñ aatā
go ki rahtā hai ye jaras nālāñ
mere nāloñ se par nahīñ aatā
yaar rātoñ ko tere kūche meñ
kab ye ḳhasta-jigar nahīñ aatā
aur kahte nahīñ raqīb use
lab kuchh mujh ko Dar nahīñ aatā
kis liye 'joshish' itnī nāla-kashī
kuchh asar to nazar nahīñ aatā