chhoḌiye kis tarah se mai-noshī
zor-e-ālam rakhe hai be-hoshī
ik nazar us ko dekhne paa.eñ
go mayassar na ho ham-āġhoshī
qaid karnā kisī ko hai manzūr
zulf kartī hai tujh se sargoshī
huuñ maiñ sar-gashta misl-e-reg-e-ravāñ
kyā kahūñ apnī ḳhāna-bardoshī
vasf meñ us dahan ke ai 'joshish'
ham ne kī iḳhtiyār ḳhāmoshī