muñh banā.e hue phirtā hai vo kal se ham se
koī aaj us ko milā de kasī kal se ham se
nāla-o-āh-o-fuġhāñ kyuuñ na huuñ hamdam apne
dostī ishq ko hai roz-e-azal se ham se
naala ḳhāmosh phir āzurda na ho jaa.e kahīñ
aaj bolā hai vo kas radd-o-badal se ham se
ḳhauf rakhte haiñ tarī kam-nigahī kā varna
yaar Darte haiñ koī teġh-e-ajal se ham se
'joshish' us arbada-jū turk-e-sitam-gār ne aaj
āshtī kī hai baḌī jañg-o-jadal se ham se