na koī diin hotā hai na koī zaat hotī hai
mohabbat karne vāloñ kī nirālī baat hotī hai
bisāt-e-zīst par ham chaal chalte haiñ qarīne se
zarā sī chuuk ho jaa.e to baazī maat hotī hai
hiqārat kī nazar se dekhte haiñ log mahfil meñ
ġharīboñ kī bhalā duniyā meñ kyā auqāt hotī hai
buzurgoñ kī duā.eñ haiñ jo sar jhukne nahīñ detīñ
ḳhushī aur ġham vagarna kis ke bas kī baat hotī hai
aur un se ye muamma aaj tak hal ho nahīñ paayā
ki din aatā hai pahle yā ki pahle raat hotī hai
kisī ne sach kahā hai ik tamāshā-gāh hai duniyā
khilaunoñ kī magar chābī ḳhudā ke haat hotī hai
ḳhizāñ kā daur ho yā vo bahāroñ kā zamāna ho
koī mausam ho ai 'gulshan' hamārī baat hotī hai