Joshish Azimabadi

jala bala hun giraftar-e-haal apna hun

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
jalā balā huuñ giraftār-e-hāl apnā huuñ
ba-rañg-e-sham.a sarāpā vabāl apnā huuñ
is ashk-e-surḳh o ruḳh-e-zard se samajh le tū
bayān kyā karūñ ḳhud arz-e-hāl apnā huuñ
qarār pakḌe mire dil meñ kab kisī kī shakl
ba-rañg-e-ā.īna mahv-e-jamāl apnā huuñ
na māhtāb huuñ ne āftāb huuñ yā-rab
ye kyā sabab hai ki aaphī zavāl apnā huuñ
jahān-e-ḳhvāb-e-tamāshā jahān kā sab ḳhvāb
ḳhayāl ḳhuub kiyā to ḳhayāl apnā huuñ
ba-rañg-e-naqsh-e-qadam maiñ paḌā huuñ dar pe tire
na pā.emāl kar ai naunihāl apnā huuñ
rah-e-sulūk meñ 'joshish' kisī kā mazra-e-dil
jo pā.emāl karūñ pā.emāl apnā huuñ
Top Urdushayar.com