ai zulf us ke muñh se tū to lipaT rahī hai
gesū ko kāTiyo mat vo aap kaT rahī hai
ho kis tarah mayassar us bahr husn kī sair
abrū kī ek kashtī so bhī ulaT rahī hai
dil dene kī haqīqat ham ḳhuub jānte haiñ
hai ġham kisī kā us ko jo zulf laT rahī hai
mahrūm ham hī haiñ is mehmāñ-sarā meñ varna
kis kis tarah kī ne.amat ḳhilqat ko baT rahī hai
ḳhālī nahīñ ḳhalal se 'joshish' ye ḳhaibar-e-dil
din raat mauj ġham kī is se chimaT rahī hai