Joshish Azimabadi

yaad hain we din tujhe hum kaise aawaron mein the

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
yaad haiñ ve din tujhe ham kaise āvāroñ meñ the
ḳhaar the har ābloñ meñ aable ḳhāroñ meñ the
ai gulābī mast phir muñh lag ke us ke is qadar
la.al-e-lab ke ek din ham bhī parastāroñ meñ the
lab talak bhī aa nahīñ sakte haiñ maare zo.af ke
aah fauj-e-ġham ke jo jaane havaldāroñ meñ the
sāmne kal ḳhush-nigāhoñ ke jo aayā mar gayā
dekhā Tuk kyā hī javāhar un kī tarvāroñ meñ the
mere us ke darmiyāñ harf aayā jab insāf kā
phir ga.e ik martaba jitne taraf-dāroñ meñ the
nāla-o-āh-o-fuġhāñ dard-o-alam soz-o-gudāz
aah kaise kaise 'joshish' apne ġham-ḳhvāroñ meñ the
Top Urdushayar.com