Joshish Azimabadi

us kamar ke KHayal mein hain hum

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
us kamar ke ḳhayāl meñ haiñ ham
baiThe karte haiñ sair-e-mulk-e-adam
be-ḳhudī ham pe rakhiyo lutf-o-karam
apne ta.iiñ bhuul jaa.eñ jab tak ham
kyuuñ gunahgār ho na nau-e-bashar
pahle hī chūke hazrat-e-ādam
aah is bahr meñ habāb kī tarah
apnī bhī zindagī hai koī dam
dī hai dhūnī dar-e-tavakkul par
chhoḌ dī ham ne minnat-e-ālam
dekhne bhī na paa.e qātil ko
zaḳhm itne hī lag ga.e paiham
nīl-gūñ kyuuñ na ho hisār-e-rañg
hai siyah-posh ḳhāna-e-mātam
lutf hotā jo aish meñ 'joshish'
chhoḌ detā na saltanat ad.ham
Top Urdushayar.com