Joshish Azimabadi

kya bad-gumaniyan hain meri jaan lijiye

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
kyā bad-gumāniyāñ haiñ mirī jaan lījiye
ye dil to hai vahī ise pahchān lījiye
ham se to ye kabhī nahīñ hone kā nāseho
suniye tumhārī baat ko aur maan lījiye
ne aish kī talab hai na ishrat kī aarzū
ai charḳh kis liye tirā ehsān lījiye
gar hukm ho to kaaT ke sar aage lā rakhūñ
lene kā is ke rakhiye na armān lījiye
aayā huuñ tañg shahr meñ vahshat ke haath se
jī chāhtā hai rāh-e-bayābān lījiye
gar imtihān-e-ishq ho manzūr to abhī
kartā huuñ maiñ niyāz dil o jaan lījiye
muñh dekh nau-ḳhatoñ kā yahī aa.e hai ḳhayāl
de kar ke naqd-e-jān ye qur.ān lījiye
Top Urdushayar.com