tujh se zālim ko apnā yaar kiyā
ham ne kyā jabr iḳhtiyār kiyā
misl-e-sīmāb be-qarār rahe
ek jā ham ne kab qarār kiyā
āñkheñ pathrā ga.iiñ ai sañgīñ-dil
yaañ talak terā intizār kiyā
tū jo kahtā hai jald ā.ūñgā
maiñ ne kyā terā e'tibār kiyā
jaib to kyā hai nāseho ham ne
chaak siine ko ġhuncha-vār kiyā
nazar aa.e qayās se bāhar
dil ke zaḳhmoñ ko jab shumār kiyā
ātish-e-ishq ne ba-rañg-e-sipand
dāna-e-dil ko be-qarār kiyā
tū vafā se na dar-guzar 'joshish'
us ne go jaur iḳhtiyār kiyā