Joshish Azimabadi

shaiKH ko kabe se jo maqsud hai

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
shaiḳh ko ka.abe se jo maqsūd hai
vo kunisht-e-dil hī meñ maujūd hai
mere jalne kī kisī ko kyā ḳhabar
sozish-e-dil ātish-e-be-dūd hai
ne haram se kaam hai ne dair se
ḳhāna-e-dil hī mirā masjūd hai
farq mat kar āshiq o ma.ashūq meñ
ḳhud ayaaz aur aap hī mahmūd hai
kyā parī kyā huur kyā jinn-o-bashar
sab meñ vo shāyad mirā mash.hūd hai
mashrab-e-ushshāq meñ ai zāhido
us kā jo maḳhlūq hai ma.abūd hai
sañg o aahan ko ye kartī hai gudāz
aah hai ye naġhma-e-dā.ūd hai
kis se ai 'joshish' kahūñ maiñ dard-e-dil
mere us ke bolnā mafqūd hai
Top Urdushayar.com