Joshish Azimabadi

chashm-e-KHun-KHwar abru-e-KHamdar donon ek hain

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
chashm-e-ḳhūñ-ḳhvār abrū-e-ḳhamdār donoñ ek haiñ
haiñ judā lekin ba-vaqt-e-kār donoñ ek haiñ
bā.is-e-ārām ye ne mojib-e-āzār vo
chashm-e-vahdat meñ hī gul aur ḳhaar donoñ ek haiñ
iltiyām-e-zaḳhm-e-dil ke haq meñ gar kiije nigāh
sabza-e-ḳhat marham-e-zañgār donoñ ek haiñ
hālat istiġhnā kī jis ke haath aa.ī hai yahāñ
us ke nazdīk andak o bisyār donoñ ek haiñ
mere us ke go judā.ī aa ga.ī hai darmiyāñ
jis ghaḌī bāham hue do-chār donoñ ek haiñ
jo na maane us ko āshiq ho ke us pe dekh le
abrū-e-ḳhamdār aur talvār donoñ ek haiñ
kyā kahūñ maiñ is ko āñkhoñ ne diye haiñ jo fareb
fann-e-makkārī meñ ye makkār donoñ ek haiñ
jo hai ka.aba vo hī but-ḳhāna hai shaiḳh o barhaman
is kī nāhaq karte ho takrār donoñ ek haiñ
ye nahīñ kahne kā 'joshish' hogā jo sāhib-e-dimāġh
zulf-e-yār o nāfa-e-tātār donoñ ek haiñ
Top Urdushayar.com