gar koī kaaT le sar bhī tire dīvāne kā
par ye saudā-e-mohabbat hai nahīñ jaane kā
mast rakh yaad meñ us chashm kī tā-roz-e-jazā
muñh na dikhlā mujhe yā-rab kisī mai-ḳhāne kā
mere dil ko bhī na hove havas-e-bosa agar
āshnā lab se tire lab na ho paimāne kā
husn aur ishq kā mazkūr na hove jab tak
mujh ko bhātā nahīñ sunñā kisī afsāne kā
kyuuñ na muztar huuñ use dekh ke dekho to sahī
sham.a ke sāmne kyā haal hai parvāne kā
haath uThtā nahīñ ai yaar jo suljhāne se
dil tirī zulf se uljhā hai magar shāne kā
go ki mar jaa.e tire ishq meñ 'joshish' lekin
shikva-e-jaur-o-jafā muñh pe nahīñ laane kā