Joshish Azimabadi

tujhse hi kya wafa ki nahin KHush-nigah chashm

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
tujh se hī kyā vafā kī nahīñ ḳhush-nigāh chashm
jitne safed-posh haiñ sab haiñ siyāh-chashm
us mehr-vash ke hone na de girya rū-ba-rū
jab tak safed hove na mānind-e-māh chashm
andher hai dayār-e-mohabbat meñ ham-damāñ
taqsīr dil kī Thahre kare jo gunāh chashm
donoñ makān ġhair se ḳhālī haiñ aa ke baiTh
tere pasand ḳhvāh ye dil aa.e ḳhvāh chashm
us kī shab-e-firāq meñ itnā tū ro ki ho
dariyā-e-ashk meñ tirī kashtī tabāh chashm
mujh ko jalā ke ḳhaak kyā aur bahā diyā
tum se to ye na thī mujhe ai ashk-o-āh chashm
'joshish' vo kaun sā hai jafā-kār jis par aaj
muñh par lahū male hue hai dād-ḳhvāh chashm
Top Urdushayar.com