duniyā kī justujū to ham se na ho sakegī
ye minnat aarzū to ham se na ho sakegī
go shaam se sahar tak ro.e hai aur jale hai
ye sham-e-dū-ba-dū to ham se na ho sakegī
bahuterī ġhā.ebāna karte raheñ shikāyat
par us ke rū-ba-rū to ham se na ho sakegī
mai-ḳhāna-e-jahāñ meñ guzrān shaiḳh-sāhib
be-jām o be-subū to ham se na ho sakegī
kyā pūchhtā hai 'joshish' tārīf us dahan kī
kuchh is meñ guftugū to ham se na ho sakegī