likhā ḳhat use le qalam aur kāġhaz
jale ishq-e-sozāñ se ham aur kāġhaz
na rakh dīda-e-tar pe maktūb us kā
muḳhālif haiñ aapas meñ nam aur kāġhaz
ḳhudā se bhī Dar likh na ahvāl dil kā
divāne ye soz-e-raqam aur kāġhaz
likhā safha-e-dil pe maktūb tujh ko
na thā tere laa.eq sanam aur kāġhaz
mire dil ko ai chashm naame kā us ke
ḳhush aatā hai husn-e-raqam aur kāġhaz
zarā der tere jo tham jaa.eñ aañsū
rahe haath meñ koī dam aur kāġhaz
jo kuchh safha-e-dil meñ apne hai 'joshish'
rakhe hai ye ḳhūbī to kam aur kāġhaz