ḳhush-numā garche mad kā haala hai
tere kānoñ kā baalā baalā hai
dar-e-mai-ḳhāna kā gadā huuñ maiñ
be-piyāla mirā piyāla hai
dil-e-sad-pāra ye baġhal meñ na ho
dard dukh kā mire risāla hai
us nigah us mizha kī kuchh mat pūchh
ek barchhī hai ek bhālā hai
hai dam o hosh apnā be-hoshī
hosh jab se yahāñ sambhālā hai
kaise va.ada-ḳhilāf se 'joshish'
haq-ta.ālā ne kaam Daalā hai
mujh ko hai intizār o betābī
us ko hiila hai aur havāla hai