dāmān-e-dil se gard-e-ta.alluq ko jhāḌiye
juuñ sarv paañv bāġh-e-tajarrud meñ gāḌiye
mumkin nahīñ ki dekhiye rū-e-shaguftagī
jab tak ba-rañg-e-ġhuncha garebāñ na phāḌiye
jo kuchh ki haath aa.e uḌā dījiye use
qārūñ kī tarah maal zamīñ meñ na gāḌiye
bastī meñ dil kī hirs-o-havā kā qayām hai
taufīq ho rafīq to is ko ujāḌiye
'joshish' koī hazār kare yaañ muḳhālifat
apnī taraf se to na kisī se bigāḌiye